Charge Your Smartphone with A Plant! | Ft. Bioo Lite urdu/hindi by infompak
Dosto, is video mein maine aapko ek latest technology ke baare mein bataya hai jiski madad se aap apne phone ko ek plant se charge kar payenge, yeh sun ne mein ekdum alag lagta hai, but yeh koi science fiction nahi hai, yeh reality hai aur ek product jiska naam Bioo Lite hai uski madad se aap apne phone ko ek Plant ki energy ki madad se charge kar payenge, yeh kaafi rare project hai aur photosysthesis ke baad jo bio molecules plants soil mein excrete karte hai uski madad se energy harvestation ke liye kaam karti hai. Yeh product abhi indiegogo.com pe crown funding ke liye available hai, aur aap ise abhi bhi purchase kar sakte hai, bioo lite mein koi bhi recussing cost nahi hai aur aap direct ek USB port se apne phone ko charge kar payenge. Isme biological nanowires ki madad se charge transfer hota hai aur microorganisms ki reactions ki madad se aapko h2o bhi milta hai jo aapne water usage ko bhi kam karta hai, Is se energy toh milti hi hai saath hi saath nature ko conserve karte hue aap bahut aaraam se apne plants ki madad se apne phones ya tablets ko charge kar sakte hai. Iske alawa ek aur device jiska naam Bioo Panel hai woh bhi aane wala hai jo bade scale pe energy generate kar payenge. aur yeh dono hi koi prototype nahi hai fully working devices hai jo december 2016 se available honge, aur aap ek plant se apne phone ko charge kar payenge.
Link to Bioo Lite: https://www.indiegogo.com/projects/bi...
Link to Bioo Lite: https://www.indiegogo.com/projects/bi...
Post a Comment
thanks for your feedback